Showing posts with label Judai. Show all posts
Showing posts with label Judai. Show all posts

Sunday, 18 February 2007

Ghazal - Berukhi- Kaifi Azmi


Main yeh soch kar uske dar se utha tha

ke woh rok legi , mana legi mujhko


Hawaon mein lehrata aata tha daaman

ki daaman pakad kar bitha legi mujhko


Kadam aise andaaz se uth rahe the

ke awaaz de kar bula legi mujhko


Magar ne usne roka, na usne manaya

na daaman hi pakda, na mujhko bithaya


na awaaz hi di, na wapas bulaya

main aahista ahista badta hi aaya


yahan tak ki us se juda ho gaya

juda ho gaya main

juda ho gaya main.....