Monday 26 February, 2007

Zinda - Faakhir

Kisi ranjish ko hawa do ki main jinda hoon abhi

Mujhko ehsas dilaa do ki main jinda hoon abhi

Mere rukne se meri saanse bhi ruk jaayengi

Faasle aur badha do ki main jinda hoon abhi

Zehar peene ki to aadat thi zamane walon

Ab koi aur dawa do ki main jinda hoon abhi

Abhi chalti raahon mei yunhi aankh lagi hai 'faakhir'

Bheed logon ki hataa do ki main zinda hoon abhi

No comments: