Wednesday, 26 September 2007

Shaam Ke Baad


Tu Ne Dekha Hey Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad

Kitney Chup Chaap Se Lagtey Hein Shajar Shaam Ke Baad



Itney Chup Chaap K Rastey Bhi Rahenge La-Elm

Chor Jaayenge Kissi Roz Nagar Shaam Ke Baad



Maine Aisey He Gunah Teri Judai Mein Kiye

Jaise Toofan Mein Koyi Chor Dey Ghar Shaam Ke Baad



Shaam Se Pehley Woh Mast Apni Udaanon Mein Raha

Jin Ke Haathon Mein They Tootey Hooye Par Shaam Ke Baad



Tu Hai Suraj Tujhey Maloom Kahan Raat Ka Dukh

Tu Kissi Roz Mere Ghar Mein Uttar Shaam Ke Baad



Laut Aaye Na Kissi Roz Woh Awaara Mizaaj

Khol Rakhte Hein Issi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

No comments: